janam ke baad bachpan main dhudh ke liye rona......
phir khelne ke liye rona.......
phir bahar jaane ke liye rona.......
yahi to tha bachpan kee rahen.............
school main master saheb ki chhadi ke karan rona
dosto se jhagre ke karan rona.....
raste main ya khel main girne ke karan rona........
haan yahi to thi bachpan kee rahen.......
college main kam marks paane ka rona........
practical aur attendence pura na hone ka rona........
college chhutne pe bhi film chhhutne ka rona.......
yahi to thi......jawani ki raahen........
office main jayda kaam ka rona......
ghar pe bachcho ki sahi padhai na hone ka rona......
bibi ko muskan na lauta pane ka rona.........
yahi to hai bhai.............jindagi ki raahen....
9 comments:
are mera chhota bhai itni shaandaar feelings rakhta hai,
bahut hi saral dhang se puri zindagi ka hisaab diya hai.....
koshish karunga...........ki kutchh achchha ban pare, abhi to bas suruat ki hai...dhanyawad!!
bahut achche tareeke se apni baat rakhi hai aapne...!!
Kitna royenge bhaiya,chup ho jao ab
aap to bahuit roye ho ,mere karan to kabhi aisa nahi hu ana[:P][/)][:P]
anyways really nice poems[:)]
kabhi aankhon ko kitaab k piche chipakar rona
kabhi sabke saath haste hue mann mein gam ko bhulate hue rona
kabhi bas yuhi udte parinde ko girte hue dekh kar rona
jindagi mein rone k liye gam bade hain
chote se in gamon ko isiliye kuch bhulakar hai hasna
shayad yahi hai jindagi ka sabse bada rona
good work!!
धन्यवाद्!!
कल 25/04/2012 को आपकी यह पोस्ट नयी पुरानी हलचल (SADAजी की प्रस्तुति में) पर लिंक की जा रही हैं.आपके सुझावों का स्वागत है .
धन्यवाद!
ज़िंदगी वास्तव में हर समय रोना ही है, पर कुछ पल खुशियों के निकालने ही चाहिये...
Post a Comment