जिंदगी की राहें

जिंदगी की राहें

Followers

Wednesday, June 4, 2008

~::INSAAN::~



ek din raaste main mujhe mila "mera bhagwan"!!


maine kahan tu kahan ja raha hai, jaldi se de mujhe ek "bardaan"!!


usne kaha......ae tuchh!! tu bhi kya yaad rakhega! bata apnee "armaan"!!


maine jabab diya.....tu bas ek chhoti si kripa kar, mujhe bana de "insaan"!!


usne phir jabab diya....ae dusht! ye tere dimag ko kya hua, tu to tha "haivan"!!


phir kaise tere dil main hua, iss tarah ke sapno ka "nirman"!!


main kutchh kah na saka, bas dekhte raha ho kar "hairan"!!


man hi man sochta raha, kya jamana aa gaya hai "bhagwan"!!


ab tu bhi nahi banana chahta hai "INSAAN"!!



~:kalam ya ki talwar:~




aaj ke paripekshya main,
koi tumse puchhe ki..........
kalam ya ki talwar????



bina soche, samjhe
muh bolega..........talwar!
beshak dil ke ek kone seaawaj aayegi
kalam na ki talwar!!!!

beshak kalam ki apnee takat hai
beshak kalam kutchh bhi kah sakta hai
par duniya ko ek hi jhatke main
apne aur mor sakta hai talwar!!!!

aaj koi bhi vidwan apne kalam
ki takat se duniya ko loha manwa sakta hai
par phir bhi koi bhi takatwar ya Hitlar
duniya ko jhuka dega sirf dikha ke talwar!!!!
Kalam aapko vidwan, Kavi
ya bana sakti hai Kahanikar
par itihaas gawah hai.....duniya
ko apne kabje main kiya hai to sirf talwar!!!

attah main to kahunga...
kalam nahi..................!!
sirf talwar..................!!!!!
sirf talwar...............!!!!!!!

"koshish"







hamne chaha hi nahi warna halaat badal sakte the,
agar ham bhi koshish karte to kutchh panktiyan likh sakte the !


hum to bas darshak kee bhanti dekhte ya padhte hi rahe,
agar apne kalam ko kagaj pe ragarte to kutch na kutchh likh sakte the !


par koi gila nahi, koi sikwa nahi, agar na likhe to kya hua,
aakhir saare likh hi lete, to kavi ke badle prashanshak kaise ban sakte the !

kaise ban sakte the........................!!!!!!!