जिंदगी की राहें

जिंदगी की राहें

Followers

Wednesday, June 4, 2008

~::INSAAN::~



ek din raaste main mujhe mila "mera bhagwan"!!


maine kahan tu kahan ja raha hai, jaldi se de mujhe ek "bardaan"!!


usne kaha......ae tuchh!! tu bhi kya yaad rakhega! bata apnee "armaan"!!


maine jabab diya.....tu bas ek chhoti si kripa kar, mujhe bana de "insaan"!!


usne phir jabab diya....ae dusht! ye tere dimag ko kya hua, tu to tha "haivan"!!


phir kaise tere dil main hua, iss tarah ke sapno ka "nirman"!!


main kutchh kah na saka, bas dekhte raha ho kar "hairan"!!


man hi man sochta raha, kya jamana aa gaya hai "bhagwan"!!


ab tu bhi nahi banana chahta hai "INSAAN"!!



5 comments:

!!अक्षय-मन!! said...

man hi man sochta raha, kya jamana aa gaya hai "bhagwan"!!
ab tu bhi nahi banana chahta hai "INSAAN
bahut hi sahi likha hai........

Unknown said...

ha ha,Bhagwaan se koi dushmani hai kya[:P]kahe ko khali pili me badnaam kar rahe ho[:P]thoda gushtakhi kar raha hu edit karne ka[:P]gaur farmaiyega[:P]

ek din raaste main mujhe mila "mera bhagwan"!!

maine kahan tu kahan ja raha hai, jaldi se de mujhe ek "bardaan"!!

usne kaha......ae tuchh!! tu bhi kya yaad rakhega! bata apnee "armaan"!!

maine jabab diya.....tu bas ek chhoti si kripa kar, mujhe bana de "insaan"!!

tab bhagwaan ne jawab diya ,he abodh balak, jara antarman me jhank ke dekh ,bwahi pada hai tere andar ka insaan,jarooat hai bas khak karne ki use jo basa hai tere man me haivan[:P]
ab dubara mat puchna[:P]


anyways joke apart,really nice poem,aap itnaacha lkhte ho pata hi nahi tha,mai thoda taang todne ki gushtakhi kar rahba hu kshma chaunga[:P]

मुकेश कुमार सिन्हा said...

thanx!!

Vijay said...

Mukesh aapki poems padh kar Bahut achha laga. I wont be able to contibute.Servic se retire karne se pahle fouz walon ne dimaag apne paas rakh liya tha.So creativity nahin rahi haan grsp kar sakta hoon.Ab Jab bhi waqt milega aapki sabhi poems zaroor padhta rahungi..keep writing..god bless you..

Gaurav Baranwal said...

Waw kaya likhte hai sir........