जिंदगी की राहें

जिंदगी की राहें

Followers

Wednesday, June 4, 2008

~:kalam ya ki talwar:~




aaj ke paripekshya main,
koi tumse puchhe ki..........
kalam ya ki talwar????



bina soche, samjhe
muh bolega..........talwar!
beshak dil ke ek kone seaawaj aayegi
kalam na ki talwar!!!!

beshak kalam ki apnee takat hai
beshak kalam kutchh bhi kah sakta hai
par duniya ko ek hi jhatke main
apne aur mor sakta hai talwar!!!!

aaj koi bhi vidwan apne kalam
ki takat se duniya ko loha manwa sakta hai
par phir bhi koi bhi takatwar ya Hitlar
duniya ko jhuka dega sirf dikha ke talwar!!!!
Kalam aapko vidwan, Kavi
ya bana sakti hai Kahanikar
par itihaas gawah hai.....duniya
ko apne kabje main kiya hai to sirf talwar!!!

attah main to kahunga...
kalam nahi..................!!
sirf talwar..................!!!!!
sirf talwar...............!!!!!!!

6 comments:

एहसास said...

Tussi to chha gaye....
kalam ki dhaar se talwaar ki dhar laga gaye...

....bahut achha kaavy bhaeeya ji

...EHSAAS!

Vandana Shrivastava said...

sahi hai....aajkal talwaar ka hi bolbaala hai... :)

!!अक्षय-मन!! said...

ek kadwi sacchi hai
jise manna padega.....

Abhi said...

kya baat hai bhaia...
duniya main bahot si baatein hoti hai jo dil ko chu jaati hai...aur jab bhi wo baat yaad ati hai to aankho se paani jaroor laati hai...
aapne bus wahi kuch baatein mujhe yaad dila di...
ek aisi sachai yaad dilayi jisse main bahot bhaf=gta hoon...lekin aaj maine ye socha hai ki main kisi haalat main apne sapno se ladunga....
lekin ye bhi sach hai ki is blog me thode aur posting kariye....
thanks for such a good and precious blog...

Dibyendu said...

ek baat dhayan dene layak hai ki Hitler ne talwaar uthane se pahle kalam ka sahara hi liya tha (apni jeevni likh kar)....

Unknown said...

SONG

kalam-2 hamari kalam hamko aage barati hai-2
bade-2 na peeche hate kalam ki taqat sikhati hai-2